Jaa Zindagi Madinay Se Jhoonkay Hawaa K Laa,
Shayad 'HUZOOR' Hum Se Khafa Hean, Manaa K Laa.
Kuch Hum Bhi Apna Chehra-e-Baatin Sanwaar Lean,
Ja 'BU BAKAR' Se Aaina Ishq-o-Wafaa Ka Laa.
Duniya Bohat Hi Tang Musalman Pe Hogai,
'UMAR' K Zamanay Ka Naqsha Utha K Laa.
Mehroom Kar Diya Humean Jin Se Nigah Ne,
'USMAN' Se Wo Falsafa Sharm-o-Hayaa Ka Laa.
Maghrib Mae Maara Maara Na Phir Aey Gadaa-e-Ilm,
'ALI' Se Mang K Ye Khairaat Ilm Laa.
Baatil Se Dabb Rahi Hy Phir Ummat 'RASOOL' Ki,
Manzar 'HUSSAIN-iyaat' Se Kuch Karbala Ka Laa.
Shariqa Ahmed
Twitter: @shariqa_ahmed
Beautiful!
ReplyDeleteJazakALLAH
Deleteprayed to Almighty Allah to bless the whole world and specially Pakistan and help us to eradicate terrorism and help us recover and coup up with internal and external threats.
ReplyDeleteAmeen
DeleteWonderful poem. keep it up.please write it in urdu.
ReplyDeleteJazakALLAH Fawad Bhai.
DeleteSubhanAllah . very beautiful Naat it is
ReplyDelete